Question:
Baap ke inteqaal se pehle beti ka inteqaal hogaya....
Answer:
Kya farmaate hain ‘Ulamaa-e-Kiraam is mas-ale mein ke Zaid ka inteqaal hua aur us ke wariseen mein Zawjah, do bete, teen betiyaa.n hayaat hain aur ek beti ka inteqaal Zaid ki hayaat hi mein ho chuka hai. Is beti ke wariseen mein teen bete, ek beti aur shauhar hain. Daryaaft talab-e-amr yeh hai ki Zaid ki wiraasat maujuudah wariseen ke darmiyaan kaise taqseem hogi? Shaafi wa Waafi jawaab de kar shukriyah ka mauqa’ ‘inaayat farmaae.n. ﷽ Al-Jawaab 8 Al-Mayyit Zawjah Ibn Ibn Bint Bint Bint Bint 1 2 2 1 1 1 X Baa’da Taqdeemi Maa Taqaddama ‘Alal irsi, Zaid ka tarkah 8 hisso.n mein taqseem kar ke Zaid ki beewi ko 1 hissa, Zaid ke dono.n beto.n mein se har ek ko 2 hisse, Zaid ki teeno.n betiyo.n mein se har ek ko 1 hissa diya, Zaid ki jis beti ka inteqaal ho gaya hai, jis beti ka inteqaal Zaid ki hayaat mein wafat hogaya tha, uske wariseen ko Zaid ke tarkah se kuch nahi.n milega. Allaah Ta’aala Quraan Majeed mein irshaad farmaata hai: یُوصِیكُمُ اللَّهُ فِیْ اَوْلٰدِكُمْ لِلذَّكَرِ مِثْلُ حَظِّ ٱلْأُنثَیَیْنِ (Surah Nisaa: Aayat No. 11) Aur mazeed farmaata hai: وَلَكُمْ نِصْفُ مَا تَرَكَ اَزْوٰجُكُمْ إِن لَّمْ یَكُنْ لَّهُنَّ وَلَدٌ فَاِنْ كَانَ لَهُنَّ وَلَدٌ فَلَكُمُ ٱلرُّبُعُ مِمَّا تَرَكنَ ۚ مِنۢ بَعْدِ وَصِیَّةٍ یُوصِینَ بِهَا اَوْ دَینٍ وَلَهُنَّ ٱلرُّبُعُ مِمَّا تَرَكْتُمْ إِن لَّمْ یَكُنْ لَّكُمْ وَلَدٌ فَاِن كَانَ لَكُمْ وَلَدٌ فَلَهُنَّ ٱلثُّمُنُ مِمَّا تَرَكْتُمۚ مِّنۢ بَعْدِ وَصِیَّةٍ تُوصُونَ بِهَا اَوْ دَیْنٍ. (Surah Nisa: Ayat No. 12) Lihaaza uupar bayaan ki gai tafseel ke mutaabiq Zaid ka tarkah taqseem kiya jaae, ki yahi Sharee’at ka hukm hai. Iske khilaaf karne mein dono.n jahaa.n ka khasaarah hai. Wallaahu Ta’aala A'lam Bis-Sawab. Faruuq Khaan Mahaaimi Date: 26 Rabi-‘ul-Aakhir 1443 / 2 December 2021 Transliteration: Faiz Ashrafi