Kya farmaate hain ‘Ulama-e-Deen-o-Muftiyaan-e-Shar‘e Mateen
masala zail mein ki:
Zaid jiske do bete ek Khaalid jiski ‘umr bees saal hai, aur duusra beta Bakr jiski ‘umr saat saal hai. In ke ‘ilaawa do betiyaa.n bhi hain. Bada beta Khaalid farigh-ut-tehseel ‘aalim-e-deen hai. Khaalid ne khidmat-e-deeni shuru’ karte hi ghar ki puuri zimmedaari sambhaal li aur waalid ko ghar ke kaamo.n se mukammal taur par faarigh kar diya. Kuchh hi din ba’d Khaalid ne apni chhoti behen Zainab ki shaandar shaadi ki aur tamaam zaruriyaat ko khuubsuurti se puura kiya. Bihamdillah, Zaid ka ghar ab khushhaal ho gaya tha. Kuchh hi mah-o-saal guzre the ki achasnak kuch naa-masaa’id haalaat ki wajah se Khaalid ne gao.n chhod diya aur qareebi sheher mein rehaaish ke liye ek zameen khareedi. jismein waalid ne apne mauruusi khet mein se thoda khet bech kar saadhe saat hazaar rupay Khaalid ko diye.
iqtisaadi kamzori ki wajah se Khaalid ne zameen par ghair mukammal aur adhuuri baqadr-e-kaifiyat mukhtasar si ta’meer ki aur us mein apne bachcho.n ke saath rehne laga, jahaa.n waqtan-fa-waqtan waalidain bhi aate jaate rahe.Na mukammal ta’meer ki wajah se rihaaishi takleef ke baawajuud Khaalid ne apni duusri behen Salma ki bade aab-o-taab ke saath shaadi karaai. Is tarah alhamdulillaah dono.n behno.n ki shaadiyaa.n kar ke Khaalid ne maa.n-baap ka sar fakhr se baland kar diya.
Khaalid ka Chhota bhai Bakr jo ki abhi kam-sin tha, lekin uski ta’leem-o-tarbi’at ke liye Khaalid ne hamesha apne saath rakha. Jahaa.n bhi khidmat-e-deen ke liye qayaam pazeer hua, saath hi rakha. Jabki uski ma‘iyyat se Khaalid ko shadeed takleefe.n hoti rahee.n ‘awaam ke zehniyat, mansab-e-imaamat ki nazaakate.n har do wajho.n se chhote bhai ko saath rakhna bilkul na-munasib tha. Lekin maa.n-baap ki khushi ke liye azeeyate.n bardaasht karte hue ta’n-o-tashnee’ ke baawajuud hamesha saath hi rakha. Kai jagah khidmat-e-deeniyah ke ba’d Khaalid ab Mumbai mein qayaam pazeer ho gaya, yahaa.n bhi chhote bhaai Bakr ko saath laaya, aur apne asar-o-rusuukh se accha kaam sikha kar behtareen kaareegar bana diya. Jis se woh ab tankhwaah bhi paane laga. Mumbai mein taqreeban chhe saal ke ba’d Khaalid ke waalid ka inteqaal ho gaya. Waalid ke inteqaal ke ba’d bhi Khaalid ne Bakr ko apne saath hi rakha, jab ki ab woh jawaan ho chuka tha aur kamaane bhi laga tha. Iske bawajood usne bhai ko kabhi ek rupiya tak nahi diya. Jab ki un dino.n Khaalid apni beewi ki beemaari aur uske ‘ilaaj se intehaai pareshaani mein tha, paiso.n ki sakht zaruurat thi. Lekin Bakr, Khaalid ke saath reh kar khana khaaya, lekin ek paisa na diya,aur na hi jismaani taur par madad ki na kabhi hospital gaya, na kisi aur zarurat mein kaam aaya.
Isi dard aur karb mein do saal guzre ki Khaalid ki biwi ka bhi inteqaal ho gaya. Chhote bhai Bakr ko kamaate hue kai saal ho gae, lekin saath rehne ke bawajood usne na to kabhi do saal ki beemari mein kuch diya, na aage-pichhe kisi mauqe par, na bacho.n ko ‘Eed/Bakra ‘Eed ke mauqe par ek rupiya bhi diya.
Ispar tarah yeh ki baap se mila hua khet maa.n aur bhaai ko bataae baghair bech kar mili hui raqam ‘aesh-o-‘ishrat mein udadiya. Baap aur beewi ke inteqaal ke ba’d bhi Khaalid ek mushfiq baap ki tarah ‘afw-o-darguzar karte hue, khud takleef-o_pareshaani utha kar, ek chhote se kamre mein jo ki masjid ka tha maa.n, paanch bache, beemaar-o-ma’zuur beewi aur upar se ye shareer chhota bhai bhi — sirf aur sirf is liye ki bahar kahee.n awbaash aur aawaara na ho jaae.
Mazkuraah baala haalat ke baawajuud Khaalid ne use khilaya, pilaya aur dhandhe ke liye paisa bhi diya jo waalid ki di hui raqam se zyada tha. Na kamaaya hua ek paisa, na hi asal raqam aaj tak lautaaya.
Wazeh rahe ki Khaalid ka makaan, jo aaj bhi na-mukammal hai, uski kuchh ta’meer us waqt bhi hui hai jab ki chhota bhai bakr kama raha tha, lekin is ke baawajuud na koi maali na jismaani shirkat ki. Aur aaj 37 saal ba’d, Bakr aadha makaan maang raha hai. Lihaaza Mufti Saahib se guzaarish hai ki: Mazkuura baala suurat mein kya Khaalid ke makaan mein Bakr ka hissa hoga?
﷽
Al-jawaab:
Saail ne bataaya ki Khaalid ke waalid ne khaalid ko jo saadhe saat hazaar rupay diye the, woh qarz ke taur par nahi.n the, balki unho.n ne bete ki madad ke taur par hiba (tohfa) diya tha. Is liye woh raqam Khaalid ki hi ho gai. Uske ba’d Khaalid ne jo zameen khareedi woh sirf Khaalid ki hai, usmein khaalid ke bhai ya kisi behen ka koi hissa nahi.n.
Radd-ul-Muhtaar mein hai:
’’اذا دفع لابنہ مالا ، فتصرف فیہ الابن ، یکون للأب ، إلا إذا دلت دلالۃ التملیک، بیری، قلت فقد أفاد أن التلفظ بالإیجاب و القبول لایشترط بل تکفی القرائن الدالۃ علی التملیک. ‘‘(ردالمحتار کتاب الھبۃ داراحیاء التراث العربی بیروت ، ج : 4 ، ص : 508)
(Radd-ul-Muhtaar, Kitaab al-Hibaah, Daar Ihyaa al-Turaath al-‘Arabi, Beirut, Jild 4, Safha 508)
Wallaahu Ta‘aala A‘lam.
Farooq khan Al-mahaaimi
Transliteration: Faiz Ashrafi