Feedback submitted successfully!
شرعی مسائل
یہ ایک ایسا اسلامی تحقیقی مرکز ہے جو اسلام کے بنیادی اصولوں اور جدید دور کے چیلنجوں کے درمیان ہم آہنگی پیدا کرنے پر توجہ مرکوز کرتا ہے۔ ہماری تحقیق کا مقصد اسلامی تعلیمات کی روشنی میں موجودہ مسائل کے حل تلاش کرنا ہے جسے ہمارے اسکالرز بحسن و خوبی انجام دے رہے ہیں۔
    • سوال نمبر
    • 27
  • Waariseen mein beewi ek beta aur do betiyaa.n hain?.....
  • 1
    • Farooque Mahaimi
    • Research Scholar
  • Farooque Mahaimi
  • الجواب

Kya farmaate hain 'ulamaa-e-deen wa muftiyaan-e-shar‘-e-mateen darja-e-zail masale mein:

Zaid ka inteqaal hua. Us ne waariso.n mein ek beewi, ek beta aur do betiyaa.n chhoda. Baraae karam bataae.n ke sharee'at ke hisaab se kisko kitna hissa milega? Agar percentage ke hisaab se bataa de.n to bohot acha hoga.

 

Al-Jawaab:

 

8 × 4 = 32

 

Mayyit

| Zaujah | Ibn (Beta) | Bint (Beti) | Bint (Beti)

1                                                  7          7

4                      14                        7          7

 

Mayyit par agar koi qarz ho to sabse pehle use ada kare.n. Agar mayyit ne wariseen ke ‘ilaawa kisi aur ke liye koi waseeyat ki ho, to mayyit ki ek tihaai maal se uski waseeyat puuri kare.n. Us ke ba’d mayyit ki jaaidaad uske waariso.n mein taqseem kare.n. Aur agar mayyit par koi qarz na ho ya usne koi waseeyat na ki ho, to seedha mayyit ki jaaidaad uske waariso.n mein taqseem kare.n.

 

Jaaidaad is tarah taqseem ki jaae:

Mayyit ki kul jaaidad, manquula-wa-ghair manquula 32 hisso.n mein taqseem kar ke 4 hisse mayyit ki beewi ko 7-7 hisse mayyit ki har ek beti ko aur 14 hisse mayyit ke bete ko diye jaae.n

 

Percentage ke hisaab se: Mayyit ki beewi ko: 12.50%, Mayyit ki har ek beti ko: 21.875% aur Mayyit ke bete ko: 43.75% diye jaae.n

Yahi sharee'at ka hukm hai, isi par amal kare.n,

Allah Taa’ala Quraan-e-Kareem mein irshaad farmaata hai:

یُوْصِیْكُمُ  اللّٰهُ فِیْ اَوْلَادِكُمْ لِلذَّكَرِ مِثْلُ حَظِّ الْاُنْثَیَیْنِ.

(Surah Nisa, Ayat no. 11)

 

فَاِنْ كَانَ لَكُمْ وَلَدٌ فَلَهُنَّ الثُّمُنُ مِمَّا تَرَكْتُمْ مِّنْۢ بَعْدِ وَصِیَّةٍ تُوْصُوْنَ بِهَا اَوْ دَیْنٍ.

(Surah Nisa, Ayat no. 11)

 

Wallaahu Ta’aala A‘lam bis-sawaab

Farooq Khan al-Mahaaimi

Date: 19 Muharram-ul-Haraam 1445H / 7 August 2023

Transliteration: Faiz Ashrafi

About

Farooque Mahaimi

Farooq Khan Mahaimi Misbahi is a Sunni Islamic scholar who has pursued both religious and secular education. He earned his degrees in 'Aalim, Faazil, and Ifta' from Jamia Ashrafia, Mubarakpur, Azamgarh, UP, and completed 'Munshi, Maulvi, Aalim, and Kamil' certifications from the UP Madrasa Board. Additionally, after passing Matriculation and Intermediate from school, he obtained his B.A. and M.A. degrees from Maulana Azad National Urdu University (MANUU). Mahaimi Saheb served for six years at Darul Uloom Mahboob Subhani, Kurla, Mumbai, focusing on issuing fatwas and teaching. For the past three years, he has been teaching at Jamiat-ul-Madina Faizan-e-Kanz-ul-Iman, the central seminary of Dawat-e-Islami in Mumbai. Additionally, for the last year, he has been affiliated with the Maula Ali Research Centre, managed by Minara Masjid Trust. Alhamdulillah, Mahaimi Sahib has worked on ten books so far, authored numerous articles, and issued over a hundred fatwas. May Allah accept his efforts.

Farooque Mahaimi
Feedback Form