Maulaana Saahib, Assalaamu ‘Alaikum,
Mera naam Sayyid ‘Uzma ‘Abdul Habeeb hai. Mere ek masale ke liye aap se wazaahat chaahiye. 2012 mein mere waalid ki tabee’at kharaab hui aur taqreeban ek saal tak unki nigahdaasht karni padi. Is dauraan main apne waalidain ke ghar mein hi thi.
2006 mein Sayyid ‘Abdul Habeeb se meri shaadi hui jab meri ‘umr 17 saal thi. Do saal ba’d mujhe ek bachi paida hui jiska ‘umr ab taqreeban 8 saal ki hai.
Yeh shaadi mere waalidain ne tai ki thi, Shaadi ke ba’d mere shauhar Sa’udi wapas chale gae.Us dauraan Unka aana jaana Hindustan mein laga raha. Chu.nki Main apni saas aur nand ke saath rehti thi. Gharelu jhagde hote rahe. Saath hi saath property, zameen jaidaad ko le kar bhi masaail hote rahe.
Jab ki main mere waalidain ke ghar unki nigahdaasht ke liye thi us waqt kuch aisi cheeze.n meri saas ke baare mein ma’luum hui ki unho.n ne kuch property apne naam karwaa li thi jo ki mere shauhar ki milkiyat thi. Is baat ke saamne aane ke ba’d meri saas ne mere shauhar ko mujhse bad-zan karna shuru’ kar diya aur meri aur mere shauhar ke darmiyaan jhagde karwa diye.
May 2013 mein mere shauhar mere waalidain ke ghar apne waalidain aur behen ke saath aae aur saare masaail ko le kar behes karne lage. Baat hadd se bard gai aur ghar se nikalte waqt woh taish mein aakar mujhse kehne lage: “Main tujhe talaaq deta hoon.” Yeh baat unho.n ne sirf ek baar kahi aur apne ghar waalo.n ke saath chale gae.
Mere waalid ki tabee’at in sab haalaat ke baad bigadti chali gai aur July 2013 mein unka inteqaal 22 Ramazaan ko ho gaya.
Waalid ke jaane ke ba’d mere shauhar ne mujhse baat cheet jaari rakhi aur apne ghar waalo.n ko hamaare ghar jaane ke liye majbuur bhi kiya lekin woh log shaamil nahi.n hue.
Waalid ke inteqaal ke 15 din ba’d main apne sasuraal jaakar rehne lagi apni bachi ke saath. Thode din ba’d mere shauhar bhi Sa’udi se waapas aagae aur is dauraan unho.n ne mujhse ruju’ bhi kar liya. August 2013 mein woh waapas Sa’udi chale gae. Mere sasuraal waale unke jaane ke ba’d mujhe rakhne ke liye tayyaar nahi.n hue kyun ki unho.n ne zabardasti mere shauhar ki duusri shaadi karwa di thi.
Yeh baat June 2013 ki hai jab main mere waalidain ke yahaa.n thi, yeh baat mere ‘ilm mein nahi.n thi.
Main waapas mere waalidain ke ghar August 2013 mein aa gai. Mere waalid ke inteqaal ke ba’d se mere ghar ke haalaat makhduush ho gae the. Mera aur meri bachi ka pursaan-e-haal koi nahi.n hai. Bohot mushkil haalaat se main uski parwarish kar rahi huu.n. Mere shauhar mujhse baat cheet kar rahe hain lekin kharch ke liye kuch bhi nahi.n de rahe hain.
Aap se guzaarish hai ke aap is masale mein apni raae de.n ki mera talaaq waqe’ hua hai ya nahi.n?
﷽
Al-Jawaab:
Mufti-e-shara‘ sharee’at ke masaail mein apni raae zaahir nahi karta, balki jo sharee’at ka hukm hai use bata deta hai.
Suurat-e-masala mein ‘Abdul Habeeb ne jis waqt apni beewi se yeh kaha: “Main tujhe talaaq deta huu.n,” usi waqt uski beewi Sayyid ‘Uzma par ek talaaq-e-raaj‘i waqe’ ho gai. (Bahaar-e-Sharee’at, Hissa: 8, Safha: 117) par aisa hi mazkuur hai. Us waqt se le kar Sayyid ‘Uzma ki ‘iddat ke andar andar kaamil teen haiz guzarne se pehle pehle agar ‘Abdul Habeeb ne apni beewi se raj’at kar li thi to Sayyid ‘Uzma badastuur ‘Abdul Habeeb ke nikaah mein hai. Aur agar ‘iddat khatam hone ke ba’d ya’ni kaamil teen haiz guzarne ke ba’d raj’at ki thi to ‘iddat ke guzarne se hi Sayyid ‘Uzma ‘Abdul Habeeb ke nikaah se nikal gaee.n. Ab agar dono.n phir se ek duusre se nikaah karne par raazi hain to nikaah kar sakte hain, halaala karne ki koi zaruurat nahi.n
Fataawa Razawiyya mein hai:
Raj‘i mein ‘aurat nikaah se nahi.n niklegi, ayyaam-e-‘iddat mein be-tajdeed-e-nikaah ‘aurat se raj’at kar sakta hai. Aur agar ‘iddat guzar gai to barzaae ‘aurat us se az-sar-e-nau nikaah kar sakta hai, kuch halaala ki haajat nahi.n
(Fataawa Razawiyya, Mutarjam, Jild: 12, Safha: 447, Mukhtasaran)
Wallaahu Ta‘aala A‘lam
Farooq Khan Al-Mahaa’imi
Date: 17 Muharram al-Haraam 1438 Hijri / 15 October 2016
Transliteration: Faiz Ashrafi