As-Salaamu ‘Alaikum Mufti Saahib,
Aap se guzaarish hai ki Sharee’at ki roshni mein apna faisla de.n.Mere waalid saahib hayaat hain, aur ham do bhai aur ek behen hain, ya’ni kul teen member hain. Hamaare waalid saahib ki milkiyat mein do khet hain jinki qeemat aaj ki taareekh mein andaazay ke mutaabiq 20 lakh rupaye hai. Aur ek rehta ghar hai jiski qeemat aaj ki taareekh mien andaaze ke mutaabiq 5 lakh rupaye hai. Kul milaakar milkiyat ki raqam 25 lakh rupaye hai.
Ab hum sab log yeh chaahte hain ki iski milkiyat ko taqseem (wasiyyat) kiya jaae. Waalid saahib ka jo hissa banta hai unko diya jaae, aur ek ek hissa dono.n bhaaiyo.n ko, aur jo bhi hissa behen ka banta hai use diya jaae.
Aur ghar mein hamaare waalid saahib ke saath ek bhai apni family ke saath rehta hai jo waalid saahib ki khidmat karta aaya hai. Kya unko kuch haqq-e-khidmat milega ya nahi.n? Aur kya waalid saahib unke liye kuch wasiyyat kar sakte hain?
Duusra bhai apni family ke saath duusri jagah rehta hai, aur behen apne susraal mein hain. Abhi waalid saahib baa-hayaat hain, aur jo beta waalid ki khidmat kar raha hai, waalid ke inteqaal ke baad jo waalid ka hissa hota hai woh kis bete ko milega? Uski taqseem Sharee’at ki roshni mein kaise hogi?
﷽
Al-Jawaab
Baap apni zindagi mein apni jaidaad ka khud maalik hota hai, kisi ka usmein koi haq nahi.n Agar apni zindagi mein apni jaidaad bacho.n mein taqseem karna chaahta hai to jitna chaahe khud rakh le, aur baqiya maal ke teen hisse kare.n—teeno.n bacho.n (do bete aur ek beti) ko ek ek hissa de de.n aur qabza kara de.n. Agar qabza nahi.n karaaega to unki milkiyat na hogi. Aisa is liye hai ki baap ke nazdeek beta aur beti dono.n baraabar hain. Agar kisi ko takleef paho.nchaane ki gharz se dega to gunaahgaar hoga.
Fataawa-e-Hindiyyah mein hai:
" یعطی الابنۃ مثل ما یعطی الابن و علیہ الفتویٰ و ھکذا فی فتاویٰ قاضی خان."
Haa.n, agar koi beta deeni fazeelat rakhta ho, masalan koi beta ‘aalim-e-deen hai, deen ki khidmat mein mashghuul rehta hai ya maa.n baap ki khidmat karta hai to use duusro.n se kuch zyaada de sakta hai.
Waalid ke inteqaal ke baad waalid ka kul tarka paanch hisso.n mein taqseem kiya jaaega, jin mein se do do hisso.n ke dono.n bete haq daar ho.nge aur ek hisse ki beti haq daar hogi. Ye us suurat mein hai jab ki waalid ke waaris yahi teeno.n ho,n. Agar zyaada ya kam ho gae to us waqt istifta karke ma’luum kar le.n.
Wallaahu Ta’aala A’lam.
Farooq Khan Al-Mahaaimi
Date: 26/06/1438H / 25/03/2017
Transliteration: Faiz Ashrafi