Kya farmaate hain 'ulamaa-e-deen wa muftiyaan-e-shar'e mateen darja-e-zail masale mein:
Bache ki shaadi ko abhi kuch hi maheene guzre hain, magar miyaa.n beewi mein banti nahi.n, ladki khula’ ka mutaalba kar rahi hai. Agar hamaara beta khula’ deta hai to use kya karna hoga, aur kaun kaun se saamaan lautaane ho.nge? Jawaab de kar ‘indallaah maajuur ho.n.
﷽
Al-Jawaab:
Agar miyaa.n-beewi ki na banti ho aur nibhaah ki koi suurat nazar na aati ho to ‘aurat khula’ ka mutaalba kar sakti hai, aur shauhar khula’ de sakta hai. Khula’ ke badle shauhar beewi se meher ya meher jitni qeemat ka mutaalba kar sakta hai. Meher se ziyaada ka mutaalba karna makruuh hai. Shauhar ki jaanib se mutaalba ki suurat mein ‘aurat ke liye zaruuri hoga ki woh shauhar ko badl-e-khula’ de.
Fataawa ‘Aalamgeeri mein hai:
’’إذا تشاق الزوجان وخافا أن لا يقيما حدود الله فلا بأس بأن تفتدي نفسها منه بمال يخلعها به فإذا فعلا ذلك وقعت تطليقة بائنة ولزمها المال كذا في الهداية.إن كان النشوز من قبل الزوج فلا يحل له أخذ شيء من العوض على الخلع وهذا حكم الديانة فإن أخذ جاز ذلك في الحكم ولزم حتى لا تملك استرداده كذا في البدائع.وإن كان النشوز من قبلها كرهنا له أن يأخذ أكثر مما أعطاها من المهر ولكن مع هذا يجوز أخذ الزيادة في القضاء كذا في غاية البيان.‘‘(کتاب الطلاق، الباب الثامن فی الخلع وما فی حکمه، جلد:1، ص488)
(Kitaab at-Talaaq, Baab-as-saamin fi-al-Khula’ wa maa fi hukmihi, Jild: 1, Safha: 488)
Jo cheeze.n ladki ko jahez mein mayke waalo.n ki taraf se mili thee.n, woh ladki ki milkiyat hai. Isi tarah ladke waalo.n ki taraf se jo ‘aam iste’maal ki cheeze.n, masalan kapde, juute, ghadi waghaira ladki ko di gai thi, isi tarah mu.nh dikhaai ke mauqe’ par jo cheeze.n di gaee.n thi, yeh sab bhi ladki hi ki milkiyat hai. Lihaaza woh cheeze.n ladki ko mile.ngi.
Fataawa Shaami mein hai:
’’كل أحد يعلم الجهاز للمرأة إذا طلقها تأخذه كله، وإذا ماتت يورث عنها‘‘
(Jild: 3, Safha: 158, Baab al-Mahr)
Isi mein hai:
’’ قلت: ومن ذلك ما يبعثه إليها قبل الزفاف في الأعياد والمواسم من نحو ثياب وحلي، وكذا ما يعطيها من ذلك أو من دراهم أو دنانير صبيحة ليلة العرس ويسمى في العرف صبحة، فإن كل ذلك تعورف في زماننا كونه هدية لا من المهر، ولا سيما المسمى صبحة، فإن الزوجة تعوضه عنها ثيابها ونحوها صبيحة العرس أيضاً.‘‘
(Jild: 3, Safha: 153, Baab al-Mahr)
Aur ladki ko nikaah ke mauqe’ par meher ke ‘ilaawa jo zevaraat ladke ke waalidain ki taraf se milte hain, hamaare ‘ilaaqo.n mein ‘aam riwaaj yeh hai ki woh sirf iste’maal ke liye udhaar (‘aariyat) par diye jaate hain. Uska maalik ladke ke waalidain hote hain. Lihaaza un zevaraat ka mutaalba ladki nahi.n kar sakti.
Fataawa Razwiyah mein hai:
"Aur wo zevar waghaira jo waalidain-e-zauj apni bahu ke pehenne baratne dete hain jisme nisaaba ya ‘urfan kisi tarah maalik kardena maqsuud nahi.n hota woh badastuur milk-e-waalidain par hain, bahu ka us mein kuch haq nahi.n"
(Fataawa Razwiyah, Jild: 12, Safha: 209-210)
Aur ladki waalo.n ne nikaah ke waqt jo ziyaafat mein kharch kiya ya ladke ke waalidain ya rishtedaaro.n ko jo cheeze.n tohfay mein dee.n, isi tarah ladke waalo.n ne waleeme mein jo kharch kiya ya ladki ya ladki ke waalidain-wa-rishtedaar ko jo cheeze.n tohfay mein dee.n, unka mutaalba dono.n ek duusre se nahi.n kar sakte.
Fataawa ‘Aalamgeeri mein hai:
’’إذا بعث الزوج إلى أهل زوجته أشياء عند زفافها، منها ديباج فلما زفت إليه أراد أن يسترد من المرأة الديباج ليس له ذلك إذا بعث إليها على جهة التمليك، كذا في الفصول العمادية .‘‘ (ج :۱، ص:۳۲۷، الفصل السادس عشر فی جہاز البنت)
(Jild: 1, Safha: 327, Fasl 16, Fi Jahaaz al-Bint)
Wallaahu Ta‘aala A‘lam
Farooq Khan al-Mahaaimi
Date: 18 Rabi-ul-Awwal 1445H / 4 October 2023
Transliteration: Faiz Ashrafi