Feedback submitted successfully!
شرعی مسائل
یہ ایک ایسا اسلامی تحقیقی مرکز ہے جو اسلام کے بنیادی اصولوں اور جدید دور کے چیلنجوں کے درمیان ہم آہنگی پیدا کرنے پر توجہ مرکوز کرتا ہے۔ ہماری تحقیق کا مقصد اسلامی تعلیمات کی روشنی میں موجودہ مسائل کے حل تلاش کرنا ہے جسے ہمارے اسکالرز بحسن و خوبی انجام دے رہے ہیں۔
    • سوال نمبر
    • 25
  • raj'at ke alfaaz
  • 1
    • Farooque Mahaimi
    • Research Scholar
  • Farooque Mahaimi
  • الجواب

Kya farmaate hain 'ulamaa-e-deen wa muftiyaan-e-shar'e mateen darja-e-zail masale mein:

Zaid ne apni beewi ko ek talaaq diya. Agle din panchaayat baithi, jismein Zaid ne kaha ki "agar meri beewi mere saath rehna chaahti hai, to main bhi usko rakhna chaahta huu.n." Is baat ko 9 saal guzar chuke hain. Kya Zaid ki beewi ab bhi Zaid hi ki beewi hai? Ya unka rishta khatam ho gaya hai?

 

Al-Jawaab:

 

Yeh kehna ki "agar meri beewi mere saath rehna chaahti hai, to main bhi usko rakhna chaahta huu.n" raj'at ke alfaaz nahi.n hain, balki apne iraade ka izhaar hai, jisse raj'at saabit nahi.n hoti. Zaid ki beewi par ek talaaq pad chuki aur 'iddat bhi guzar gai, ab Zaid ki mutallaqa beewi aazaad hai, jahaa.n chaahe nikaah kar sakti hai. Agar chaahe to Zaid se bhi nikaah kar sakti hai, lekin Zaid se nikaah karne ki suurat mein Zaid ko sirf 2 talaaq ka ikhtiyaar hoga.

Wallaahu Ta’aala A‘lam

 

Farooq Khan Al-Muhaaimi

Date: 18 Rabi-ul-Awwal 1445H / 4 October 2023

Transliteration: Faiz Ashrafi

About

Farooque Mahaimi

Farooq Khan Mahaimi Misbahi is a Sunni Islamic scholar who has pursued both religious and secular education. He earned his degrees in 'Aalim, Faazil, and Ifta' from Jamia Ashrafia, Mubarakpur, Azamgarh, UP, and completed 'Munshi, Maulvi, Aalim, and Kamil' certifications from the UP Madrasa Board. Additionally, after passing Matriculation and Intermediate from school, he obtained his B.A. and M.A. degrees from Maulana Azad National Urdu University (MANUU). Mahaimi Saheb served for six years at Darul Uloom Mahboob Subhani, Kurla, Mumbai, focusing on issuing fatwas and teaching. For the past three years, he has been teaching at Jamiat-ul-Madina Faizan-e-Kanz-ul-Iman, the central seminary of Dawat-e-Islami in Mumbai. Additionally, for the last year, he has been affiliated with the Maula Ali Research Centre, managed by Minara Masjid Trust. Alhamdulillah, Mahaimi Sahib has worked on ten books so far, authored numerous articles, and issued over a hundred fatwas. May Allah accept his efforts.

Farooque Mahaimi
Feedback Form