Imaam maalik ko kode lagaae gae.
Farooque Mahaimi
Research Scholar
Hazrat Imaam Maalik se ek istifaada hua.
Agar mard apni beewi ko talaaq de de kisi majbuuri mein,
to kya talaaq waaqai ho jaaegi?
Imaam Maalik ne fatwa diya: Nahi.n, majbuuri ki talaaq waaqai nahi.n hoti.
Is par hukuumat-e-waqt ne Imaam Maalik par kode barsaae.
Aap soch rahe ho.nge ke aakhir itni choti si baat par hukuumat ne dakhal andaazi kyu.n ki?
Aur ek bade ‘aalim-e-deen par kode kyu.n lagaae?
To wajah padhiye:
Yeh mas ala tha to deeni,
magar iska ta'alluq siyaasat se bhi tha.
Is zamaane mein Khulafa se jo bai'at ki jaati thi, is mein
yeh kehlaaya jaata tha ke "agar bai'at todi to beewi par talaaq par jaaegi."
Chu.n ki yeh talaaq majbuuri mein mu'allaq ki jaati thi,
aur Imaam Maalik ke fatwe ke mutaabiq majbuuri ki talaaq waaqai’ nahi.n hoti,
lihaaza hukuumat-e-waqt Imaam Maalik ke khilaaf ho gai,
aur unse mutaalbah kiya gaya ke woh apne fatwe se rujuu’ karle.n.
Magar Naaibeen-e-Ambiya, Ambiya ka kaam karne mein kisi ka khauf nahi.n khaate,
bas kar guzarte hain.
Imaam Maalik ne bhi wahi kiya.
(Radi Allaahu ta’aala ‘Anhu)
Mahaaimi
مصنف کا پروفائل
Farooque Mahaimi
Research Scholar